Daughter says…….
Mujhe itna pyar na do baba..
Kal jaane mujhe naseeb ho na ho..
Ye jo maatha chuma karte ho…
Kal isper shikan ajeeb na ho..
Mein jab bhi roti hoon baba,
Tum aansoo poocha karte ho…
Mujhe itni door na chod aana,
Mein ro-on aur tum qareeb na ho..
Mere naaz uthate ho baba
Mere laad ladate ho baba,
Meri chotichoti khwahish per
Tum jaan lutate ho baba…
Kal aisa ho ek nagri mein
Mein tanha tum ko yaad karoon..
Aur ro ro kar fariyaad karoon,
Ae ALLAH mere baba se
koi pyar jatane wala ho
Mere baba mujhse vada karo ..
Mujhe tum chupa kar rakhoge..
Duniya ki zaalim najaroon se..
Tum mujhe baccha kar rakhoge..
Father replied……
Har dum aisa kab ho paya hai..
Jo soch rahi ho lado tum…
Vo sab to bas ek maya hai…
KOI baap apni beti ko…
Kab jaane se rok paya hai…
Sach kehte hai duniya wale…
Beti to dhan paraya hai..
Ghar ghar ki yehi kahani hai..
Duniya ki reet purani hai…
Har baap nibhata aaya hai…
Tere baap ko bhi nibhana hai.
No comments:
Post a Comment